Monday 9 December 2013

Apni Azadi Ko Hum Hargiz Song Lyrics - Leader (1964)


Apni Azadi Ko Hum Hargiz Song Lyrics from Hindi Movie Leader (1964). The song has sung by Mohammad Rafi and Music of Apni Azadi Ko Hum Hargiz Song was composed by Naushad Ali, with the lyrics penned by Shakeel Badayuni.

Apni Azadi Ko Hum Hargiz Song Lyrics


apni azadi ko hum hargiz mita sakte nahin
apni azadi ko hum hargiz mita sakte nahin
sar kata sakte hain lekin sar jhuka sakte nahin
sar jhuka sakte nahin

humne sadiyon mein ye azadi ki nemat payi hai
humne ye nemat payi hai
saikdon qurbaniyan de kar ye daulat payi hai
humne ye daulat payi hai

muskura kar khayi hain seeno pe apne goliyan
seeno pe apne goliyan
itne veerano se guzre hain to ye jannat payi hai
khaak mein hum apni izzat mila sakte hain
apni azadi ko hum hargiz mita sakte nahin

kya jalegi zulm ki ahele wafa ke samne
ahele wafa ke samne
aa nahin sakta koi shola hawa ke samne
shola hawa ke samne
laakh faujein leke aaye amn ka dushman koi
laakh faujein leke aaye amn ka dushman koi
ruk nahin sakta hamari ekta ke samne
hum wo pathar hain jise dushman hila sakte nahin
apni azadi ko hum hargiz mita sakte nahin
sar kata sakte hain lekin sar jhuka sakte nahin
sar jhuka sakte nahin

waqt ki awaz ke hum sath chalte jayenge
hum sath chalte jayenge
har kadam par zindagi ka rukh badalte jayenge
hum rukh badalte jayenge
agar vatan mein bhi milega koi gaddar e vatan
koi gaddar e vatan
apni takat se hum uska sar kuchalte jayenge
ek dokha kha chuke hain aur kha sakte nahin
apni azadi ko hum hargiz mita sakte nahin
vande matram vande matram vande matram

hum vatan ke naujawan hain humse jo takrayega
humse jo takrayega
wo hamari thokaron se khaak mein mil jayega
khaak mein mil jayega
waqt ke tufan mein beh jayenge zulm o sitam
asmaan par ye tiranga umar bhar leherayega
umar bhar leherayega
jo sabak bapu ne sikhlaya bhula sakte nahin
sar kata sakte hain lekin sar jhuka sakte nahin
sar kata sakte hain lekin sar jhuka sakte nahin

0 comments:

Post a Comment